Sunday, July 1, 2018

TITANIUM BACKUP kya hai or mobile ko customized karne k methods

TITANIUM BACKUP kya hai or mobile ko customized karne k methods


Aaj hum apko mobile ko customized karne k bare me batane jaa rahe hai. Last post me hamne root karna sikha. Root karne ke bad hamare pas kai option aa jate hai. Jisse hum apne man mutabik apne smartphone ko control kar sakte hai. But uske liye hame kuch apps ki jarurat hoti hai unme se sabse jaruri hai TITANIUM BACKUP.



Is App me bahut se funtions hote hai jisse hume mobile operate karna easy ho jata hai jese:-
1. Apps ka backup lena and restore karna-  Aap Apne mobile ki sari apps, uske data and market links ka backup le sakte hai jisse kabhi  phone me nayi custom ROM dalne k bad ya reset karne k bad apps dubara download  karne ki jarurat nahi hoti.

2. System apps ko uninstall karna_Friends, Kai bar humare mobile me kuch in-built apps aati hai jinhe uninstall nahi kiya ja sakta. ye apps kisi kam ki nahi hoti or phone storage bhi fill kar deti hai. Titanium backup se in system apps ko uninstall kiya ja sakta hai.


3.  Apps ko freeze karna- Jin apps ko aap delete nahi karna chahte but unhe run bhi nahi karna chahte unhe Titanium backup se freeze kar sakte hai. Is funtion se aap Apps ko bekar me battery ya Data use karne se rok sakte h ,

4. Apps Ko internal storage me automatically install hone se rokna and unhe by default hi external card me store karne ka command dena jisse apka phone low storage hone k karan bar bar hang nahi hoga and aap jitni chahe apps apne card me install kar sakte hai.

5. Apps ko system app me convert karna or app ki multiple profile enable karna.

6. Android ID change karna.

7. Unwanted apps ko remove karna. Etc

So ab hum apko Titanium backup ko use karne ka process bata rahe hai but uske liye sabse jaruri point hai ki APKA MOBILE ROOT HONA CHAIYE .   Iske bare me humne last posts me samjha rakha hai.

ROOT KYA HOTA HAI
ROOT KESE KARE


SABSE PAHLE APKO TITANIUM BACKUP DOWNLOAD KARNA HAI


CLICK HERE
OR ISE APKE SMARPHONE ME INSTALL KARE




visit link download